[pro_ad_display_adzone id=69]
[pro_ad_display_adzone id=63331]

Nazar Nawaz Nazaron Mein Song Lyrics

Nazar nawaz nazaron mein
Kho gaya hu main
Inhi hasin baharo mein
Kho gaya hu main
Nazar nawaz nazaron mein
Kho gaya hu main

Har ek phool mahekta huwa
Sharara hai
Har ek jarra chamakta huwa
Sitaara hai
Inhi zamin pe sitaro mein
Kho gaya hu main
Nazar nawaz nazaron mein
Kho gaya hu main

Kabhi hawa mein lagi
Aur bhi laga di hai
Kabhi ghata ne tadap kar
Mujhe sada di hai
Kabhi nadi ki pukaro mein
Kho gaya hu main
Nazar nawaz nazaron mein
Kho gaya hu main

Har ek cheez mein ae husn
Tujh ko dhunda hai
Tujh hi ko pyaar kiya
Tujh hi ko pooja hai
Teri hi raah gujaro mein
Kho gaya hu mein
Nazar nawaz nazaron mein
Kho gaya hu main.



Hide Comments
Show Comments
Movie/Album : Sushila (Year - 1963)


[pro_ad_display_adzone id=49020]
[pro_ad_display_adzone id=49017]