[pro_ad_display_adzone id=69]
[pro_ad_display_adzone id=63331]

Waqt Waqt Ki Baat Song Lyrics

Kal tak main akelaa thaa
Aaj zamaanaa saath hai
Waqt waqt ki baat hai
Samajhe naa
Waqt waqt ki baat hai
Kal tak main akelaa thaa
Aaj zamaanaa saath hai
Waqt waqt ki baat hai
Waqt waqt ki baat hai

Jab itnaa mashoor naa
Thaa yaaron meraa naam
Tab paani naa miltaa
Thaa ab milte hain jaam
Kal ye raat andheri thi
Aaj suhaani raat hai
He waqt waqt ki baat hai
Waqt waqt ki baat hai

Sunkar meri baaton ko
Hai duniyaa hairaan
Dekhte rah gaye sab
Maine maar liyaa maidaan
Kal dil mein veeraani thi
Aaj magar baaraat hai
He waqt waqt ki baat hai
Waqt waqt ki baat hai

Aaj tu jaanegi mujhko
Ai mere mahboob
Bholaa bhaalaa hoon lekin
Aadmi hoon main khoob
Kal thaa jis kaa intezaar
Aaj wo mulaaqaat hai
He waqt waqt ki baat hai
Waqt waqt ki baat hai
Kal tak main akelaa thaa
Aaj zamaanaa saath hai
He waqt waqt ki baat hai
Waqt waqt ki baat hai.



Hide Comments
Show Comments
Movie/Album : Bhola Bhala (Year - 1978)


[pro_ad_display_adzone id=49020]
[pro_ad_display_adzone id=49017]