[pro_ad_display_adzone id=69]
[pro_ad_display_adzone id=63331]

Aaj Ki Raat Piya Song Lyrics

Aaj ki raat piya..
Aaj ki raat piya dil na todo,
Mann ki baat piya maan lo
Aaj ki raat piya dil na todo,
Mann ki baat piya maan lo
Aaj ki raat piya

Dil ki kahani apni jubani,
Tum ko sunane aayi hu
Dil ki kahani apni jubani,
Tum ko sunane aayi hu
Aankho mein le ke sapne suhane,
Apna banane aayi hu
Chhod ke sath piya munh na modo
Mann ki baat piya maan lo
Aaj ki raat piya dil na todo,
Mann ki baat piya maan lo
Aaj ki raat piya

Chanda bhi dekhe, tare bhi dekhe,
Hamko gagan ki oat se
Chanda bhi dekhe, tare bhi dekhe,
Hamko gagan ki oat se
Ghayal kiya hai dil tum ne mera,
Mithi najar ki chot se
Tham ke hath piya yu na chhodo
Mann ki baat piya maan lo
Aaj ki raat piya dil na todo,
Mann ki baat piya maan lo
Aaj ki raat piya.



Hide Comments
Show Comments
Movie/Album : Baazi (Year - 1951)


[pro_ad_display_adzone id=49020]
[pro_ad_display_adzone id=49017]