[pro_ad_display_adzone id=69]
[pro_ad_display_adzone id=63331]

Raat Rangeeli Chamke Song Lyrics

O raat rangeeli chamke taare
Aaja sajanwa prem dware

Raat rangeeli chamke taare
Aaja sajanwa prem dware
Raat rangeeli hoye

Mere mann me aaja ik pyar ki
Dunia ban ke sajna

Mere nain sama ja khwab sunahra ban ke sajna
Lagi tose preet gaau mai geet
Lagi tose preet gaau mai geet
Mere mann ki meet aa ga

Raat rangeeli chamke taare
Aaja sajanwa prem dware
Raat rangeeli hoye

Chale mast pawan ik nasha sa chhaye sajna sajna
Meri ankhiyan phir bhi nind na aaye sajna sajna

Nahi bite rain tarse ye nain
Nahi bite rain tarse ye nain
mera ban ke chain aa jaa

Raat rangeeli chamke taare
Aaja sajanwa prem dware
Raat rangeeli hoye

Mera machle jiya ik bat na meri mane sajna
Mere dil ki batiya haye koi kya jane sajna

Gale baiyya dar mann dungi haar
Gale baiyya dar mann dungi haar
Mera tu singar aa jaa

Ho raat rangeeli chamke taare
Aaja sajanwa prem dware

Raat rangeeli chamke taare
Aaja sajanwa prem dware
Raat rangeeli hoye.



Hide Comments
Show Comments
Movie/Album : Baap Re Baap (Year - 1955)


[pro_ad_display_adzone id=49020]
[pro_ad_display_adzone id=49017]