[pro_ad_display_adzone id=69]
[pro_ad_display_adzone id=63331]

Woh Subah Song Lyrics

In kaali sadiyon ke sar se
Jab raat ka aanchal dhalkega,
Jab dukh ke baadal pighlengen,
Jab sukh ka saagar chalkega..
Jab ambar jhoom ke naachega,
Jab dharti naghme gaayegi,

Wo subah humi sey aayegi,
Wo subah humi sey aayegi..
Wo subah humi sey aayegi,
Wo subah humi sey aayegi..

Jis subah ki khaatir yug-yug se ham sab mar-mar kar jeete hain,
Jis subah ki amrit ki dhun me ham jahar ke pyaale peete hai,
Inn bhooki pyaasi roohon pe ek din to karam farmaayegi

Wo subah humi sey aayegi,
Wo subah humi sey aayegi..

Maana ke abhi tere mere armaanon ki keemat kuch bhi nahin…
Ooohhooooo…
Mitti ka bhi hai kuch mol magar,
Insaano ki keemat kuch bhi nahin..
Oooo…
Insaanon ki izzat jab jhoote,
Sikko me na toli jaayegi…

Wo subah humi sey aayegi,
Wo subah humi sey aayegi..
Wo subah humi sey aayegi,
Wo subah humi sey aayegi..
Wo subah humi sey aayegi,
Wo subah humi sey aayegi..



Hide Comments
Show Comments
Movie/Album : Begum Jaan (Year - 2017)


[pro_ad_display_adzone id=49020]
[pro_ad_display_adzone id=49017]