Bole Ban Ki Maina Song Lyrics

Bole bole ban ki maina
Piya ka pyara naam
Bole ban ki maina
Piya ka pyara naam
Isi naam mein
Main padhhti hun
Ulfat ka paighaam
Haan ulfat ka paighaam
Bole ban ki maina
Piya ka pyara naam
Bole ban ki maina

Main saajan ki aake pinjre
Mein qaidi ho jaaun
Main saajan ki aake pinjre
Mein qaidi ho jaaun
Wo bole to main bhi bolun
Wo gaaye to gaaun
Wo bole to main bhi bolun
Wo gaaye to gaaun
Chhote se pinjre par donon
Duniya ka main kya jaanu
Bole ban ki maina
Piya ka pyara naam
Bole ban ki maina

Hothhon se main pyaas bujhau
Preet ka dana chugti jaaun
Hothhon se main pyaas bujhau
Preet ka dana chugti jaaun
Saajan mujhe pakadna chaahe
Main fauran ud jaaun
Saajan mujhe pakadna chaahe
Main fauran ud jaaun
Ud kar waapas aaun
Ud kar waapas aaun
Subah shaam is khel mein
Jaaye guzre raat tamaam
Haan guzre raat tamaam
Bole man ki maina
Haan bole haan bole
Haan bole bole
Haan bole bole
Bole man ki maina
Piya ka pyaara naam
Bole man ki maina.Hide Comments
Show Comments
Movie/Album : Anban (Year - 1944)